Tujh ko apne dil mein basaya or basaya kuch bhi nahi
|
Tu hi nazar aya or nazar aya kuch bhi nahi
|
Dunya walon nay bewaja hi badnam kar dia
|
Mainay bas tera dil choraya or choraya kuch bhi nahi
|
Bas ik tujh hi ko nahi khona chahtay thay lekin
|
Hum nay bas tujh hi ko ganwaya or ganwaya kuch bhi nahi
|
Wo jis ko yaad kiay bagair sotay nahi thay hum
|
Us nay hamain hi bulaya or bulaya kuch bhi nahi
|
Wednesday, 14 September 2011
GAZAL (KUCH BHI NAHI)
Labels:
GAZAL,
HIJAR,
Hindi Poetry,
kuch bhi nahi,
Urdu poetry
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment