Sunday 18 September 2011

GAZAL (AWARGI APNAEYAT)







Awargi Apnaeyat


Woh chahton ki bhi aisi misal daita hai
Awargi ko apnaeyat mein dhaal daita hai
Woh khush kalam hai is darja baat karnay mein
K harf harf ko husn-o-jamal daita hai
Main uska saath jo mangon zindagi bhar k liay
Baday haseen tariqay say taal daita hai
Yeh jaan kar bhi wo mera ho nahi sakta
Woh daikhta hai yun uljhan mein daal daita hai
Sawal jaisay panah mangtay hon ankhon say
Waisay jwab nigah say kamal daita hai

No comments:

Post a Comment