Sunday 18 September 2011

GAZAL (RAAT KI TANHAEYAN)





Raat kat ti rahi chand dhalta raha
Aatish-e-hijar mein koi jalta 
raha
Ghar ki tanhaeyan dil ko dasti rahi
Koi bechain karwat badalta
 raha
Aaso umeed ki shammaa roshan rahi
Ghar ki dehleez ko koi taankta raha
Raat bhar chandni gungunati rahi
Raat bhar koi tanha sisakta 
raha
Ashk palkon pay aa k bikhartay rahay
Naam lab pay kisi ka lazarta raha
Aaj phir raat tanha basar ho
gai
Aaj phir koi khud say ulajhta raha

No comments:

Post a Comment