Friday 16 September 2011

GAZAL (KHAFA HAI MUJH SAY)



Khafa hai mujh say mujhay preshan karta hai
Ajeeb shakhs hai khud say badguman karta hai
Na meri parwah hai na meray haal ki kuch khabar
Salook wo karne laga hai jaisay anjan karta hai
woh meray zikar pe uktana, mujh say katra k guzar jana
Aisa lagta hai jaisay woh doori ka saman karta hai
Pehlay tu mujh say milna hi eham tha jis k  liay
Ab milta bhi hai tu jaisay ehsan karta hai
Taaluq todna hai tu aa k keh day mujh say
Woh aisi batain gairon say q byan karta hai??????

No comments:

Post a Comment