Tuesday 13 September 2011

HAMD-E-BARI TAALA JALLA JALALOHO

WOHI KHUDA (ALLAH) HAI




Koi to hai jo, nizaam-e-hasti chala raha hai, wohi Khuda hai
Koi to hai jo, nizaam-e-hasti Chala rahaa hai, wohi Khuda hai
There is someone WHO is running the whole system of existence, and HE is only ALLAH
Dikhae bhi Jo na day nazar bhi Jo aa raha hai, wohi Khuda hai
wohi Khuda hai, wohi Khudaa hai wohi Khuda hai..
He is not visible, but yet he is apparent (In the surrounding), and HE is only ALLAH
Nazar bhi rakhay, samaatain bhi Woh jaan leta hai, niyatain bhi
Jo khana-e-lashaoor mein jagmaga raha hai wohi Khuda hai…..
He finds out intentions too, the ONE WHO is sparkling in the unrealized part of the human nature, and HE is only ALLAH
Talash Us ko, na kar buttoun mein Woh hai badalti hue rutton mein
Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai, wohi Khuda hai…..
Don't try to find HIM in Idols, HE is in changing nights. HE is turning the Night into the Day and the Day into the Night, and HE is the only ALLAH
Koi to hai jo, nizaam-e-hasti chala raha hai, wohi Khuda hai
Dikhayi bhi jo na de nazar bhi Jo aa raha hai, wohi Khuda hai
There is someone WHO is running the whole system of existence, and HE is only ALLAH

No comments:

Post a Comment