Saturday 17 September 2011

GAZAL (GARM SANSON KI MEHAK)





Sabz madham roshni mein surkh anchal ki dhamak
Sard kamray mein machalti garm sanson ki mehak
Bazoun k sakht halkay mein koi nazuk badan
Silwatain malboos aur anchal bhi kuch dhalka hoa
Garmiay rukhsar se dhaki hoe thandi hawa
Narm zulfon say mulayam unglion ki chaid chad
Surkh honton pe shrarat k kisi lamhay ka aks
Reshmi bahon mein choodi ki kabhi madham chamak
Sharmagi lamhon mein kabhi dheeray say chahat ki baat
Do dilon ki dadhkanon mein gungunati ik sada
Kampatay honton pe thi ALLAH se sirf ik dua……..
Kash yeh lamhay thehar jaen
Kash yeh lamhay thehar jaen

No comments:

Post a Comment